Tuesday, November 27, 2012

Meri Zindgi Tu Firaq Hai

" Apni tareef har kisi ko achi lagti hai. Mujhe b achi lagti hai . Mujhe tareef sunana acha lagta hai kuch logon ko tareef karwana acha lagta hai. Sunanay or Karwanay main boht farak hota  hai. Mujhe wo log achay nahi lagtay jo tareef karwana chahtay hain jaan bujh k logon k agay pichay pirtay hain or unhe pouchty rehty hain k koi kam ho to btana sirf is ne'at se k wo agr koi kam kahen or yeh karien to is trah se wo in se apni tareef karwa sakien gy. Khiar main baat kar raha tha k tareef sunana acha lagta hai mujhe . Agr tareef kisi ayse bandy se ho jo ap ko boht acha lagta ho apke dil k boht qareeb ho to ap ko wakai main boht zyada khushi hoti hai aur agr koi dosra dost apki tareef karay to ap ko wakati tor par khushi hoti hai or acha b lagta hai lakien ap jisko chahtay ho wo apki taref kary to ap usay hmesha yaad rakhty  ho.

Aik dost tareef main mujhe kehti rehti the k "apki smile boht achi hoti hai ALLAH yeh smile hmesha apke chehry par rakahy ". Main phir muskura k uska shukriya ada kar dia karta tha or usay best wishes dia karta tha i know k wo tareef karti the main us se tareef karwane ko nahi kehta tha is liay mujhe acha b lagta tha. Aik or dost meri tareef main kehti the "wo larki boht lucky hogi jisy tum milo gye." Mujhe acha lagata tha kyun k mene kabi nahi chaha tha k wo meri tareef karay ya main us k pichy pichy pirun or wo tareef karwaiun. Aik dost ki main boht tareef karta tha wo wakai tareef k qabil the wo kisi ko dukh ya preshani main nahi dekh sakti the na wo kisi ko dukh deti the main uske liay dil se dua karta tha usne kabi nahi chaha tha k main uski tareef karun or na wo logon k pichay pichay phirti the k log uski tareef karien. Main khud se hi uski tareef kia karta tha kyun ke wo deserve karti the.
Aik baat hai k agr ap kisi ko dil se boht chahtay hain aur apka dil karta hai k wo apki tareef karay to phir is main galat nahi hai uski waja yeh hai k is mamlay main apki ne'at boht saaf hoti hai wo aik jiske baray main ap sochty ho k wo apki tareef karay ap wakai dil se chah rahay hoty ho is main koi lalaach nahi hoti koi dikhawa nahi hota.

Usne kabi meri tareef nahi ki the main chahta tha k wo meri tareef karay. Duniya main sirf wohi aik the jiske mu se main apni tareef main kuch sunana chahta tha balky mera dil karta tha k hum aik dosry ki tareef karty rahien har wakat. Humaay duniya se kya lena. Wese b jab hum dono batien kar rahay hotay thay to duniya ki koi khabar nahi hoti the. Lagta tha duniya ka wajood hi nahi sirf wo or main kisi Asman main uar rahay hain.
                                    
                                     Suna hai duniya hi main rehty hain hum dono be
                                     yh baat such lgti hai jab tum mere sath nahi hoti

Aik din mene usay uski best friend se baat karty suna wo us se mere baray main batien kartay bta rahi the k usay mere mu se apni tareef sunana acha lagta hai lekin main kya karun mujhe tareef karni nahi aati main usy sach main boht chahti hon mujhe dar hai k kahen wo mujhe is waja se na chor de k main uski taref nahi karti wo yeh bolti hoi hijkiyan le k ro rahi the aur main chup kar un dono ko dekh raha tha. Wo sara din main usay nahi mila. wo wakai chahay janay k qabil the uska dil boht saaf tha wo mujhe yeh baat bta k hurt karna nahi chahti the hala k agr wo mujhe yeh bta deti to mujhe bilkul b bura na lagta balkay main us se or b zyada chahne lagta. khair chahta to main ab b usay boht zyada tha.
Is raat main dil hi dil main boht khush tha kyun k mene aj pehli dafa uske mu se suna tha jab wo apni dost ko bta rhi the k wo b mujhe wakai boht chahti hai. Mujhe raat sonay ka boht maza aaya aik dafa b ankh nahi khuli. Yeh ab tak ki meri sabse khubsurat raat the main suba uth k yeh baat soch kr muskura raha tha. "

Page no. 18,19,20

No comments:

Post a Comment