Saturday, May 18, 2013

Short but Not

Sometimes I get confused, depressed, frustrated, disturbed, feared, worried and then I feel and try to find some people (most probably best friends or family members) to get rid off me but no one support.

But having all these bullshits I m still Optimistic and Hopeful ..
Coz I know these are all nothing if I strongly believe in that "For me The Only ALLAH is enough" .

Then I talk to himself "Everything will be fine Insha'Allah" :)

Monday, May 13, 2013

"Jalna choro Fair and Lovely lagna shuru karo...!!"

"Jalna choro  Fair and Lovely lagna shuru karo...!!"
Allah jisay izzat dy uski izzat karna seekho aur agr izzat nahi kar sakty to kam iz kam usay bura bhala na kaho.. Bay shakk Allah ki laathi bay awaaz haii.
Aur aik leader ko dusary leader ki respect zroor karni chahiye agr respect nahi kar sakte to bura bhala na kaho warna ayse hi hoga jesa is elections main hoa..
Agr Punjab ki baat karien to Pervaiz ilahi (PMLQ) , Zardari and Company(PPP) , Imran Khan (PTI) in teno ka target sirf aik hi rha k just just criticize PMLN , NS , SS.
Aur jis ne zyada batmizi ki uska anjam utna hi bura hoa Punjab main se...
1) Pervaiz ilahi jiski last general elections main NA ki 52 and PP ki 90 seats then .. Isss dafa mushkil se sirf apne ghar ki 1 seat bachaa sakat...very shamful
(Nakami ki waja : yehi k govt main b raha aur opposition main b raha kaaam koi nahii kia but zor dia to sirf is baat par criticize criticize criticize just and only NS and SS . aur to koi baat nahi aati the isay so iska injaam sab ko pata chal gya...
2) Zardari and Company last general elections main inki Govt. bani aur Punajb main b achi khasi seats milien aur Punjab main coalition main b rahay kuch der tak .. Pmln ko Punjab ki jamaat ka taana dene walay aaj khud sirf sind ki jamat bn kar reh gaye aur mushkil se 6,7 seats milien inhe Punjab se...
( Nakami ki waja : yehi k govt main b raha aur opposition main b raha kaaam koi nahii kia but zor dia to sirf is baat par criticize criticize criticize just and only NS and SS . apni performace kuch nahi aur election campaign main NS and SS k khilaf yehi dikhaty rahay media main k jhooth no 1, jooth no. 8 . jhooth no 26 etc..I think ab inhe thand parh gai hogii elections k baad )
3) Imran Khan PTI ki pedaish  ( 30 Oct 2011) se le kar elction se 2 din pehle tak .. takreebn 18 month bnty hain .. Khoob election campaing ki youth main boht famous rha aur election clean sweap karney k baray baray daway karta rha aur logo ko Naya Pakistan bnany ka Khawab dikhata raha .aur election hoay to Punjab main NA ki 148 main se sirf 8 seats jeet saka aur PP ki 297 main se mushkil se 20 seats milien..Aur sirf social media par PM bn saka..
(Nakami Ki waja : Yehi k always criticize just and only NS and SS .. used very rough language against them.. MIAN sab Bally se phainiti lagaien gy , 6ti bari nai aany de gay.. etc )
I wish and hope k ab yeh  log kuch seekahen gy k inke sath kya hoa aur kyun hoa ... awaam ba shaoor hai usne apna fesla suna dia k PmlN is mulak ki sabse bari party bn k nikli hai sab awaam ki waja se haii..Aur yeh leaders jo NS aur SS ko bura bhala kegty rahay awaam ne inhe kese reject kia sab ne dekh lia.. abi b hosh k nahun lo aur mature honay ka sabot deaty ho unhe apny tawon ki yakeen dahany karwao aur Pakistan ki behtri k liay kuch socho..
Allah hum sab ko aqal aur samaj ataa farmaye... Ameem !

Monday, December 24, 2012

Love Types in My Opinion

Four types of Love...
1.Family wala Love
2.Friend wala Love
3.Flirt wala Love
4.Ishq wala Love

1.Family wala Love:
Yeh wo love hai jo humay apny family members like Mother , father , sister, brother, kids k sath hota hai. Yeh love kia nahi jata khud ho jata hai. Yeh love natural hota hai. Isme kisi ki beauty , habbits , nature etc yeh chezien nahi dekhi jati. Yeh love day one se lay kar last day tak rehta hai. Yeh apki zindgi ka sabse pehly wala love hota hai.

2.Friend wala Love:
Yeh love wo hai jo friends k sath kia jata hai is main boht sincerity hoti hai. Aur yeh love hota nahi hai balky kia jata haii. zroori nahi k yeh love kisi aik k sath hi ho. Aur Is main gender b matter nahi karta. Isme apko us friend k sath rehna us k sath batien share karna boht acha lagta hai.. Aur yeh aik wakat main maximum 3 logo se kia jaa sakta hai. Mostly yeh love specific time k liay hota hai. Aur is main limitations b hoti hain..But for a specific time yeh love sabse zyada beautiful hota hai.

3.Flirt wala Love:
Yeh love time pass k liay hota hai aur zroori nahi k isme dono mature hon ..isme hmesha kisi aik ka nuksan hota hai.. yeh b opposite gender se kia jata hai.. Isme aik dusry se boht pyar bharii batien ki jati hain aik dusry ki tareefien ki jati hain but real main sab fake hota hai .. dono main se koi aik serius hota hai aur aik flirt kar raha hota hai. aur mostly girls is type k love k victims bnti hain aur phir unke paas ronay k ilawa kuch nahi hota. coz most of the times aysa hota hai k wo isme apni sarii limits cross kar chuki hoti hain..

4.Ishq wala Love:

Yeh love maturity k baad se start hota hai aur yeh opposite gender k sath hota hai.. somtimes yeh apko ho jata hai somtimes ap karty ho. Yeh love aik time main kisi aik k sath hi kia jaa sakta hai .. agr aik se zyada hai to yeh ishq wala love nahi hota.. Isme apko uski har chez aur baat achi lagti hai ap usko boht importance detay ho.. isme sencirty hoti hai.. aur isme shadi ka hona lazmi hota hai.. Friend wala love somtimes ishq wala Love main b convert ho sakta hai.. Aur yeh love b till death rehta hai.

Yeh 4 types mene khud se likhi hain mene kahen se copy paste nahi kia ... yeh pure meri thinking and feelings hain.. ap is se agree ya disagree kar sakty ho but muj par apni opinion impose nahi kar sakty..

In my point of you flirt wala love chor kar baki teeno love boht beautiful hain ... kuch ny sirf family wala love kia hota hai, kuch ne sirf friend wala , kuch ne flirit wala aur kuch ne ishq wala.. in my point of view wo lucky hota hai jisay family wala love aur friend wala love milta hai... Aur wo boht lucky hota hai jisay family , friend and ishq wala love milta hai..
I wish k ap sab ko at least family aur friend wala love zroor milay..
:)Aur agr sath sath ishq wala love b mil jaye to kya baat hai je apki... ;)

Sunday, December 23, 2012

21-12-2012 For Me

21-12-2012 Maya calender ka last din. Maya logo k mutabik is din sab tabah bardad ho jana tha. Aur qayamat aa jani the... Lakien Hum Muslims ka yeh iman aur yakeen tha aur hai b k aysa kuch nahii hona tha aur kuch b nahi hoa 21-12-2012 guzar gya.
Main apne baray main thora btana chahta hon k is din mere sath kya hoa..
4 incidents in a day aur har aik ka end acha hi hoga but mujhe yakeen nahiii aa rha tha k mere sath aysa kyun ho rha hai mera mind kaha ja raha tha.. Khair ab main ap ko sunata hn kya kya hoa mere sath in din jo pehle kabi b nahi hoa tha. :P

Incident no.1:Mene bank main 3000 rupies ka bill pay karna tha , mene 5000 rupies ka note dia usne bill ki recipte mujhe de di aur  jab mene 2000 rupies return karne ko kaha to he asked k kya mene usay 5000 ka note dia tha...? mene kaha haan but he was saying k usne note dekha hi nahi and rakh lia uska mind kaheen aur gya tha...mene boht kaha k janab mene 5000 ka note dia hai but wo maan nahi raha tha. Usne kaha k ap aysa karo apna contact no. de jao main sham ko jab banlace karun ga to agr 2000 zyada show hoa to apko call karun ga aa k le jana.. Mujhe boht Gusssa aa raha tha k yeh kya chawal hai.. khair main gussay main usay kafi batien suna k bahr nikal gya bank main se....ayse mere sath pehle kabi b nahi hoa tha..i was very sad :-(

Incident no.2:Main fotocopy shop par gya bhai k id card ki copies karani then,.. wahan kisi aur ne b usi wakat apna card dia copy karne ko.. usne galti se kisi aur ki copies aur card mujhe de dia mene jaldi main sirf copies dekhien wo mere bhai ki nahi then mene usay kaha k yeh copies meri nahi usay change kar k de daien but mene id card dekha hi nahi tha k wo b bhai ka tha k kisi aur ka tha. Mene la k bhai ko de dien copies nd card. usne ayse hi wallet main rakh lia. Aik hour baad bhai ne wallet nikala aur dekha k card to uska hi nahi yeh kisi aur ka haii.. Usny gussay main mujhe 2 ,4 sunaien aur kaha k yeh kis ka card le aye ho chalo jao wapis fotocopy walay k pas and mera id card le kar ao jese marzii... i was very sad :-(

Incident no.3:
Main aik kaam se Gujranwala gya wahan kuch information chahiyen the kisi ko mere baray main. Wahan aik form fill karne k liay mene usay apna id card dia aur wo bnda wahan se info le k form fill karne laga. usne form fill kar lia aur mujhe b de dia aik form and main le k wapis aa gya. Main us bandy se pehli dafa mila tha. wo mujhe nahi janta tha main b nahi janta tha. aik kaam k silsilay main us se milny gaya tha sirf 10mnt betha uske pas main. jab wapis a gya to 2 hour k baad mene apna wallet nikala aur dekha k mere id card nahi hai wahan. ufff mujhe yaad aaya k mera card to mene us bandy se wapis hi nahii liay. pata nahi abi wo bnda mujhe wahan milay ga b k nahi mera id card kahan gya hoga . Maine socha ab wapis chalta hn us k pas ..i was very sad :-(

Incident no.4:Main bike par city ja raha tha. janay se pehle mene 200 rupies jaket ki pocket main rakh liay k chalo iska petrol dalwa loon ga. ab main jab 30mnt baad aik petrol pump par pohancha to dekha k jaket main paisy nahi hain. maine kitni dafa pockets main dekha but paisy nahi mil rahay tha main boht heran tha coz mene paisy khud jecket ki pocket main rakhay thay..yeh mere sath 4th indicent tha aaj.. samj se bahr tha k aysa kyun ho rha hai mere sath main itna lost minded kese hogya aaj.. i was very sad :-(

Incident no. 1 End : Raat 6bje bank se us bnday ka phone a gya aur usne kaha k ap aa k 2000 rupies le jaien .. usne kaha wakai uski galti the abi balnce kia hai to 2000 zyada show ho rha hai.. wo boht sorry kar raha tha but chalo acha hogya nd main ja k 2000 rupies le ayaa . i was very happy :-)

Incident no. 2 End : Main us fotocopy walay k pas gya aur usay kaha k yeh card mere bhai k nahi hai tumne galti se koi aur de dia hai.. usne mujhe dekhty hi shukar ada kia coz jiska card main le gya tha wo last 1 hour se wahan fotocopy walay k pas preshani ki halat main betha tha. mene card exchange kia aur wapis aa k bhai ko de dia card . i was very happy :-)


Incident no.3 End : Main 2 hour baad wapis gya to wo bnda wahan hi betha tha even us wakat jummay ka time tha nd mujhe yehi tha k wo nhn hoga wahan but wo wahan mil gya . mene usay card ka pucha to usny kaha haan tum yahan hi bhool gye thay usne card de dia. i waz very happy :-)

Incident no. 4 End : Maine kitni dafa pockets ko check kia but paisy nahi mil rahay tha aik dm se mujhe jecket ki front wali pocket yad i to dekha pasiy us main thay aur har dafa main wo pocket check karna bhool jata tha dont know why. but at the end pasiy b mil gye . i was very happy :-)


21-12-2012 ki raaat ko jab yeh saray incidents ho chukhy thay aur unka end b acha ho chukha tha to i was thinking k yeh life wakai aysiii haii somtimes hum sad hoty hain and somtimes happy aur most of the time aysa kisi aik chez ki waja se hi hota hai .. i mean jiski waja se sad hoty hain usi par baad main happy ho jatay hain. So hamay always Allah ka shukar adaa karna chahiye aur sabar se kaam lena chahiye wo aap ko zroor wo kuch wapis kar de gya jo ap samjty ho k ap se lost hogya hai. Wo kisi k sath zyadti ya nainsafii nahii karta. Jo jis kaam k liay mehnat karta hai wo uske liay usi kaam main asaaniyan peda kar deta hai.
Kuch log jinka imaan mazboot nahi tha ya jo iman walay nahi thay wo to is din se boht dary hoay thay But yeh din mere liay to boht acha raha kyuke is din mene jo khoya wo mujhe wapis b mil gya kyunke mene usay paany ki koshish jo ki the to Allah to kisi k sath nainsafi nahi na karta :-)
Allah hum sab ka iman mazboot kary aur apny deen par chalne ki tofeeeq ata kary Ameen :)


Tuesday, November 27, 2012

Meri Zindgi Tu Firaq Hai

" Apni tareef har kisi ko achi lagti hai. Mujhe b achi lagti hai . Mujhe tareef sunana acha lagta hai kuch logon ko tareef karwana acha lagta hai. Sunanay or Karwanay main boht farak hota  hai. Mujhe wo log achay nahi lagtay jo tareef karwana chahtay hain jaan bujh k logon k agay pichay pirtay hain or unhe pouchty rehty hain k koi kam ho to btana sirf is ne'at se k wo agr koi kam kahen or yeh karien to is trah se wo in se apni tareef karwa sakien gy. Khiar main baat kar raha tha k tareef sunana acha lagta hai mujhe . Agr tareef kisi ayse bandy se ho jo ap ko boht acha lagta ho apke dil k boht qareeb ho to ap ko wakai main boht zyada khushi hoti hai aur agr koi dosra dost apki tareef karay to ap ko wakati tor par khushi hoti hai or acha b lagta hai lakien ap jisko chahtay ho wo apki taref kary to ap usay hmesha yaad rakhty  ho.

Aik dost tareef main mujhe kehti rehti the k "apki smile boht achi hoti hai ALLAH yeh smile hmesha apke chehry par rakahy ". Main phir muskura k uska shukriya ada kar dia karta tha or usay best wishes dia karta tha i know k wo tareef karti the main us se tareef karwane ko nahi kehta tha is liay mujhe acha b lagta tha. Aik or dost meri tareef main kehti the "wo larki boht lucky hogi jisy tum milo gye." Mujhe acha lagata tha kyun k mene kabi nahi chaha tha k wo meri tareef karay ya main us k pichy pichy pirun or wo tareef karwaiun. Aik dost ki main boht tareef karta tha wo wakai tareef k qabil the wo kisi ko dukh ya preshani main nahi dekh sakti the na wo kisi ko dukh deti the main uske liay dil se dua karta tha usne kabi nahi chaha tha k main uski tareef karun or na wo logon k pichay pichay phirti the k log uski tareef karien. Main khud se hi uski tareef kia karta tha kyun ke wo deserve karti the.
Aik baat hai k agr ap kisi ko dil se boht chahtay hain aur apka dil karta hai k wo apki tareef karay to phir is main galat nahi hai uski waja yeh hai k is mamlay main apki ne'at boht saaf hoti hai wo aik jiske baray main ap sochty ho k wo apki tareef karay ap wakai dil se chah rahay hoty ho is main koi lalaach nahi hoti koi dikhawa nahi hota.

Usne kabi meri tareef nahi ki the main chahta tha k wo meri tareef karay. Duniya main sirf wohi aik the jiske mu se main apni tareef main kuch sunana chahta tha balky mera dil karta tha k hum aik dosry ki tareef karty rahien har wakat. Humaay duniya se kya lena. Wese b jab hum dono batien kar rahay hotay thay to duniya ki koi khabar nahi hoti the. Lagta tha duniya ka wajood hi nahi sirf wo or main kisi Asman main uar rahay hain.
                                    
                                     Suna hai duniya hi main rehty hain hum dono be
                                     yh baat such lgti hai jab tum mere sath nahi hoti

Aik din mene usay uski best friend se baat karty suna wo us se mere baray main batien kartay bta rahi the k usay mere mu se apni tareef sunana acha lagta hai lekin main kya karun mujhe tareef karni nahi aati main usy sach main boht chahti hon mujhe dar hai k kahen wo mujhe is waja se na chor de k main uski taref nahi karti wo yeh bolti hoi hijkiyan le k ro rahi the aur main chup kar un dono ko dekh raha tha. Wo sara din main usay nahi mila. wo wakai chahay janay k qabil the uska dil boht saaf tha wo mujhe yeh baat bta k hurt karna nahi chahti the hala k agr wo mujhe yeh bta deti to mujhe bilkul b bura na lagta balkay main us se or b zyada chahne lagta. khair chahta to main ab b usay boht zyada tha.
Is raat main dil hi dil main boht khush tha kyun k mene aj pehli dafa uske mu se suna tha jab wo apni dost ko bta rhi the k wo b mujhe wakai boht chahti hai. Mujhe raat sonay ka boht maza aaya aik dafa b ankh nahi khuli. Yeh ab tak ki meri sabse khubsurat raat the main suba uth k yeh baat soch kr muskura raha tha. "

Page no. 18,19,20

Saturday, November 24, 2012

Meri Zindgi Tu Firaq Hai

"Aj wo boht khush the mere puchne par us ne btaya k usay be Sir Ali ki shadi par janay ki permission mil gai hai yeh sun kar mujhe be boht khushi hoi kyun k kaheen na kahen main b yeh chahta tha k wo zroor jaye . Abi hmari dosti ko zyada arsa nahi hoa tha is liay wo mujhse itna free ho k baat nahi kia karti the lakin mujhe yaken tha k aik wakat aye ga usay mere sath uthna betna batien karna acha lagay ga.

Shadi k teno function Lahore main ho rahe they aur humnay shadi k 3 din wahan hi rehna tha unke ghar par. Is liay isay permission nahi mil rahi the lekin kisi treekay se ghar walo ko mana lia isne. Main aur Wo ab Lahore ja rahay thay Sir Ali  ki shadi par hmare sath hmarey 3 friends be thay.
Aj mehndi ka fuction tha hum sab ne khoob halla gulla kia. Combined function tha is liay hamay boht maza aaya.

Isi raat humne socha k kahen bahr niklty k moj masti karty hain hum 5 dost (3 larky 2 larkiyan) raat 2bje Fortress jany k liay nikly . Main car drive kar raha tha baki friends sath bethay thay. March ka mahena tha mosam boht acha tha. Aik dam agay police ka naka laga nazar aaya ,unke ishara karne par mene car rok li or wo humy utar k gari ki talashi lene lagay.

"Car ki dikki main se yeh pistol mila hai. " aik police walay ne kaha.
Main usay daikh kar aik dm se chonk gya wo pistol wakai mera tha lekin main usay apne sath le k nahi aaya tha balky yeh to mere aik dost ne mujse liay tha yahan kese aa gya mujhe nahi pata tha. Us wakat mere pas uska licenc aur permet b nahi tha.

Najaiz asla rakhne ki waja se wo sari raat humne lock up main guzari. Humne police walon ko paisay dene ki koshish ki or unho ne paisy le b liay lekin kaha k aaj raat hmy lock up main hi guzarni paray gi wo suba 8bje hamay chorien gy. Hum main se kisi ne b apne parents ko is liay call nahi ki k itni raat ko unhe preshani hogi. Nahi to itni jan pehcan sab ki hai the k aik call par hmari rehai ho sakti the.

Suba 9bje hum Sir k ghar wapis pohncy.  5 ghanty humne lock up main guzary is se pehle hum sab ne kabi police sation b nahi dekha tha. Us raat baki teeno to dar k maray lock up main sotay rhy lekin Main or Wo 5 ghanty tak batien karty rahay. Yeh meri zindgi ka abi tak sabse khubsurat time tha jo mene kisi larki k sath itni der batien karty hoay guzara. Wo lock up mujhe us wakat duniya ka sabse luxury room lag rha tha. "

Page No. 27,28

Friday, November 23, 2012

Meri Zindgi Tu Firaq Hai

" Wo meri zindgi ka boht khaas din tha us din hamari dosti ko puray 2 saal ho chukay thay lekin khaas is liay tha k us din humne aik park main coffee petay hoay sath zindgi guzarne ka wadaa kia tha yeh jantay hoay be k yeh kaam asaan nahi hai or hamay bohat si mushkilat ka samna karna paray ga .

Wese agr hum chahty to ghar se bhaag kar court marrige kar sakty thay or hmaray pas itna bank balnce b hai tha k hum araam se apni zindgi guzar sakty thay lekin aik baat jis par hm dono ka itfaaq tha k Maa Baap ki raza mandi se pehle shadi nahi karien gy.

Aik hafta k baad raat 8bje mene Mami Papa ka mode acha dekh kar us larki k baray main baat ki. Itna to main janta tha k wo asaani se nahi manain gy lekin unho ne jo kaha wo sun kar mere peron talay zameen nikal gai. Main kabi soch b nahi sakta tha k wo aysi baat karien gy. Us raaat main aik sec k liay b nahi soya , ankhon se musalsal ansu or mu se dhooan nikalta raha kyun ke us raat mene koi 40 se zyada cigrette piay thay"

 Page no. 87