Tuesday, November 27, 2012

Meri Zindgi Tu Firaq Hai

" Apni tareef har kisi ko achi lagti hai. Mujhe b achi lagti hai . Mujhe tareef sunana acha lagta hai kuch logon ko tareef karwana acha lagta hai. Sunanay or Karwanay main boht farak hota  hai. Mujhe wo log achay nahi lagtay jo tareef karwana chahtay hain jaan bujh k logon k agay pichay pirtay hain or unhe pouchty rehty hain k koi kam ho to btana sirf is ne'at se k wo agr koi kam kahen or yeh karien to is trah se wo in se apni tareef karwa sakien gy. Khiar main baat kar raha tha k tareef sunana acha lagta hai mujhe . Agr tareef kisi ayse bandy se ho jo ap ko boht acha lagta ho apke dil k boht qareeb ho to ap ko wakai main boht zyada khushi hoti hai aur agr koi dosra dost apki tareef karay to ap ko wakati tor par khushi hoti hai or acha b lagta hai lakien ap jisko chahtay ho wo apki taref kary to ap usay hmesha yaad rakhty  ho.

Aik dost tareef main mujhe kehti rehti the k "apki smile boht achi hoti hai ALLAH yeh smile hmesha apke chehry par rakahy ". Main phir muskura k uska shukriya ada kar dia karta tha or usay best wishes dia karta tha i know k wo tareef karti the main us se tareef karwane ko nahi kehta tha is liay mujhe acha b lagta tha. Aik or dost meri tareef main kehti the "wo larki boht lucky hogi jisy tum milo gye." Mujhe acha lagata tha kyun k mene kabi nahi chaha tha k wo meri tareef karay ya main us k pichy pichy pirun or wo tareef karwaiun. Aik dost ki main boht tareef karta tha wo wakai tareef k qabil the wo kisi ko dukh ya preshani main nahi dekh sakti the na wo kisi ko dukh deti the main uske liay dil se dua karta tha usne kabi nahi chaha tha k main uski tareef karun or na wo logon k pichay pichay phirti the k log uski tareef karien. Main khud se hi uski tareef kia karta tha kyun ke wo deserve karti the.
Aik baat hai k agr ap kisi ko dil se boht chahtay hain aur apka dil karta hai k wo apki tareef karay to phir is main galat nahi hai uski waja yeh hai k is mamlay main apki ne'at boht saaf hoti hai wo aik jiske baray main ap sochty ho k wo apki tareef karay ap wakai dil se chah rahay hoty ho is main koi lalaach nahi hoti koi dikhawa nahi hota.

Usne kabi meri tareef nahi ki the main chahta tha k wo meri tareef karay. Duniya main sirf wohi aik the jiske mu se main apni tareef main kuch sunana chahta tha balky mera dil karta tha k hum aik dosry ki tareef karty rahien har wakat. Humaay duniya se kya lena. Wese b jab hum dono batien kar rahay hotay thay to duniya ki koi khabar nahi hoti the. Lagta tha duniya ka wajood hi nahi sirf wo or main kisi Asman main uar rahay hain.
                                    
                                     Suna hai duniya hi main rehty hain hum dono be
                                     yh baat such lgti hai jab tum mere sath nahi hoti

Aik din mene usay uski best friend se baat karty suna wo us se mere baray main batien kartay bta rahi the k usay mere mu se apni tareef sunana acha lagta hai lekin main kya karun mujhe tareef karni nahi aati main usy sach main boht chahti hon mujhe dar hai k kahen wo mujhe is waja se na chor de k main uski taref nahi karti wo yeh bolti hoi hijkiyan le k ro rahi the aur main chup kar un dono ko dekh raha tha. Wo sara din main usay nahi mila. wo wakai chahay janay k qabil the uska dil boht saaf tha wo mujhe yeh baat bta k hurt karna nahi chahti the hala k agr wo mujhe yeh bta deti to mujhe bilkul b bura na lagta balkay main us se or b zyada chahne lagta. khair chahta to main ab b usay boht zyada tha.
Is raat main dil hi dil main boht khush tha kyun k mene aj pehli dafa uske mu se suna tha jab wo apni dost ko bta rhi the k wo b mujhe wakai boht chahti hai. Mujhe raat sonay ka boht maza aaya aik dafa b ankh nahi khuli. Yeh ab tak ki meri sabse khubsurat raat the main suba uth k yeh baat soch kr muskura raha tha. "

Page no. 18,19,20

Saturday, November 24, 2012

Meri Zindgi Tu Firaq Hai

"Aj wo boht khush the mere puchne par us ne btaya k usay be Sir Ali ki shadi par janay ki permission mil gai hai yeh sun kar mujhe be boht khushi hoi kyun k kaheen na kahen main b yeh chahta tha k wo zroor jaye . Abi hmari dosti ko zyada arsa nahi hoa tha is liay wo mujhse itna free ho k baat nahi kia karti the lakin mujhe yaken tha k aik wakat aye ga usay mere sath uthna betna batien karna acha lagay ga.

Shadi k teno function Lahore main ho rahe they aur humnay shadi k 3 din wahan hi rehna tha unke ghar par. Is liay isay permission nahi mil rahi the lekin kisi treekay se ghar walo ko mana lia isne. Main aur Wo ab Lahore ja rahay thay Sir Ali  ki shadi par hmare sath hmarey 3 friends be thay.
Aj mehndi ka fuction tha hum sab ne khoob halla gulla kia. Combined function tha is liay hamay boht maza aaya.

Isi raat humne socha k kahen bahr niklty k moj masti karty hain hum 5 dost (3 larky 2 larkiyan) raat 2bje Fortress jany k liay nikly . Main car drive kar raha tha baki friends sath bethay thay. March ka mahena tha mosam boht acha tha. Aik dam agay police ka naka laga nazar aaya ,unke ishara karne par mene car rok li or wo humy utar k gari ki talashi lene lagay.

"Car ki dikki main se yeh pistol mila hai. " aik police walay ne kaha.
Main usay daikh kar aik dm se chonk gya wo pistol wakai mera tha lekin main usay apne sath le k nahi aaya tha balky yeh to mere aik dost ne mujse liay tha yahan kese aa gya mujhe nahi pata tha. Us wakat mere pas uska licenc aur permet b nahi tha.

Najaiz asla rakhne ki waja se wo sari raat humne lock up main guzari. Humne police walon ko paisay dene ki koshish ki or unho ne paisy le b liay lekin kaha k aaj raat hmy lock up main hi guzarni paray gi wo suba 8bje hamay chorien gy. Hum main se kisi ne b apne parents ko is liay call nahi ki k itni raat ko unhe preshani hogi. Nahi to itni jan pehcan sab ki hai the k aik call par hmari rehai ho sakti the.

Suba 9bje hum Sir k ghar wapis pohncy.  5 ghanty humne lock up main guzary is se pehle hum sab ne kabi police sation b nahi dekha tha. Us raat baki teeno to dar k maray lock up main sotay rhy lekin Main or Wo 5 ghanty tak batien karty rahay. Yeh meri zindgi ka abi tak sabse khubsurat time tha jo mene kisi larki k sath itni der batien karty hoay guzara. Wo lock up mujhe us wakat duniya ka sabse luxury room lag rha tha. "

Page No. 27,28

Friday, November 23, 2012

Meri Zindgi Tu Firaq Hai

" Wo meri zindgi ka boht khaas din tha us din hamari dosti ko puray 2 saal ho chukay thay lekin khaas is liay tha k us din humne aik park main coffee petay hoay sath zindgi guzarne ka wadaa kia tha yeh jantay hoay be k yeh kaam asaan nahi hai or hamay bohat si mushkilat ka samna karna paray ga .

Wese agr hum chahty to ghar se bhaag kar court marrige kar sakty thay or hmaray pas itna bank balnce b hai tha k hum araam se apni zindgi guzar sakty thay lekin aik baat jis par hm dono ka itfaaq tha k Maa Baap ki raza mandi se pehle shadi nahi karien gy.

Aik hafta k baad raat 8bje mene Mami Papa ka mode acha dekh kar us larki k baray main baat ki. Itna to main janta tha k wo asaani se nahi manain gy lekin unho ne jo kaha wo sun kar mere peron talay zameen nikal gai. Main kabi soch b nahi sakta tha k wo aysi baat karien gy. Us raaat main aik sec k liay b nahi soya , ankhon se musalsal ansu or mu se dhooan nikalta raha kyun ke us raat mene koi 40 se zyada cigrette piay thay"

 Page no. 87

Meri Zindgi Tu Firaq Hai

" Main 12bje tak so jata tha lekin us raat kuch ajeeb hi hoa . Main kafi thak gya tha so 9.30 sonay k liay bed par chala gya or sony laga ,socha k 5,10 mnt tak aank lag jaye gi so aysa hi hoa or laga k main so rha hn lekin ankh khul gai time dekha to abi 9.45 hoay thay matlab 15mnt hi guzray thay abi ,khair phir sonay ki koshish ki kabi daien krwat leta kabi baien karwat but neend nahi aa rhi the....


Baat samj se bahr the aysa kyun ho rha hai need kyun nahi aa rahi hai hala k mujhe to aj thakawat boht hoi the or khilaf-a-mamol main jaldi sonay chala gya tha .
Suba jab 11bje neend se utha to mujhe yaad aaaya k akhari dafa mene raat ko jab time dekha tha to us wakat 2 bj rahay thay. Suba main sochta raha k main raat ko 4 ghnty se zyada der tak utha raha lekin ankhen bnd then meri aur ab mujhe bilkul yaad nahi k un 4 ghnton main main kisay soch raha tha kon mujhe sonay nahi de raha tha yeh ehsaas kuch ajeeb par dil ko chu jane wala tha phir achank mujhe aik tasveer nazar i aur usay dekh kar mery chehray pr muskurahat aa gaii. "

Page no. 08